Showing posts with label Online buisness. Show all posts
Showing posts with label Online buisness. Show all posts

Sunday, December 2, 2018

online paise kamane ke 12 tarike in hindi-2019

Kya aap bhi online paise kamane ke tarike dhund rahe hai.jisase aap ghar baithe paise kama sako...to dosto,aap sahi jagah par aaye hai.technicalganu.com par online earning ke bahut sare tarike apko mil jayenge.



waise online paise kamane ke bahut sare tarike hai.bas thoda sa ideas lagane ki jarurat hai,ki kaise online paise kamate hai.to chaliye shuru karte hai aaj ka blog...


Online pise kamane ke tarike


1) youtube se paise kaise kamaye


waise youtube se paise kamana bahut hi aasan kam hai. bas apko thodi si knowledge kisi bhi topic ki honi chahiye.bas uske bare me apko videos banane honge.iske bad earning karna aasan hai.

lekin youtube se paise kamane ke liye apko 4000 hours watchtime aur 1000 subscribers gain karne honge tabhi apka channel monetize hoga.

youtube se paise kaise kamaye ye topic bhi padh lijiye puri jankari di hai.

2) Bloging se paise kaise kamaye


Bloging me apko post likhni hai.ye same youtube ki tarah hi hai jo aap knowledge aap youtube ke jariye dete ho wahi jankari apko yaha par post likh kar ddeni hai.jo logo ki kam ki ho.

Yaha par bhi apko approvel lene ke liye 5000 logo ka trafic lana hoga.

jab log apke blog par aane lagenge uske bad apko google adsense  se approvel lena hai.aur google adsense ki ads blog par lagake aap paise kama sakte hai.

ye bhi pura padhiye bloging karke paise kaise kamaye

3) facebook se paise kaise kamaye


facebook se paise kamane ke liye apko facebook par ek group banana hai.aur waha par apko 10000 likes lane hai.jab apke 10000 likes ho jayenge tab apka facebook monetize ho jayega.aur aap waha par youtube ki tarah hi videos dal sakte hai.

4) Instragram se paise kaise kamaye

Instragram bhi ab sabse badha social media site hai.jis par sabse jada log active rahte hai.

Aise me agar apke jada followers honge to apko companies apne promotion karne ke liye paise degi.to  instragram bhi accha tarika hai paise kamane ka.

5) Whatsapp se paise kaise kamaye

whatsapp kitni popular apps hai,ye muze apko batane ki koi jarurat nahi hai apko to pata hi hai whatsapp har ek ke mobile me hai apke bhi mobile hoga.

ab apko ye bhi batane ki jarurat nahi hai ki jaha par jada log hote hai waha par paise kamana bhi aasan hota hai.

6) Freelancing se paise kaise kamaye

Dosto freelancing ka matlab hota hai,aap kisi ke yaha job nahi karte balki aap kisi kam karte hai jiske aapko wo paise denge.

bas aapke pass kisi field ki knowledg honi chahiye.yaha se log lakho rupees  monthlye kama rahe hai.aap bhi yaha se accha khasa paisa kama sakte hai.

ye video jarur dekhe free lancing se pase kaise kamaye


7) Online writing se paise kaise kamaye

Aapko agar accha likhna aata hai to aap likh kar bhi montly lakho rupees paise kama sakte hai.aisi bahut sari website hai jahapar aap account banakar apna artical likh sakte hai.jaha se aapko paise milenge.

8) Affiliate program se paise kaise kamaye

Affiliate marketing bahut hi accha tarika hai online paise kamane ka agar aap ise ek baar samaj gaye to yaha se aap unlimited paise kama sakte hai.

iske liye aapko kisi bhi product bechne wali compani se product ki affiliate link leke use generate karna hota hai.us link ko apne dosto ya jinko iski jarurat hai unhe bhej sakte hai.agar kisi ne is product ko purchase kiya to uska aapko comission milega.

Amazon,flipkart,snapdeal jaisi companies ki aap affilite link le sakte hai.

9) Domain se paise kaise kamaye

Dosto agar aap ek blogger ho ya website banate ho to aapko domain kya hai ye batane ki jarurat nahi hai.lekin jo naye log hai unko pata nahi hai domain ke bare me to mai yaha par apko bata deta hu.aap kisi bhi website par jate ho to apko us website ka name milta hai jaise- www.technicalganu.com ise ham doamin name kahte hai.

ise hame godaddy jaisi website se kharidna padta hai.ise ham kam prize me kharidkar kisi badhi kampani ko jada prize me bech sakte hai yaha se bhi bahut acchi income apko hogi.

10) Purane saman ko sell karke paise kaise kamaye

Purana saman har ek ke pass jarur hota hai,us saman ko aap Olx ya Quiker jaisi website par jakar bech sakte hai..

agar aap purana saman kharidkar use olx par bechne ka business  karna chahte ho to wo bhi kar sakte ho.

11) Share market se paise kaise kamaye

Share market ka nam to aapne suna hi hoga.yaha se aap kisi bhi compani ke share kharid sakte hai aur accha munafa hone par use kabhi bhi bech sakte hai.

share market me bahut si compani accha khasa munafa kama leti hai.kisi kisi ka to diwala bhi nikal jata hai.

agar aap share market ki acchi knowledge lete hoto aap yaha se accha khasa paise kama sakte ho.

12) Apps se paise kaise kamaye

Dosto aaj ke samay me earning apps jada hi devlope hoti ja rahi hai.bahut se log earning apps ka use karke paise kama rahe hai.

jaise- champcash,onead,rojdhan jaisi bahut sari aaps hai jise aap use karke ya kisi ko reffer karke acche khase paise kama sakte hai.agar aapko bhi aaps se paise kamane hai to aap mere youtubee channel par bane rahiye waha par mai apko earning apps ki jankari deta rahunga.

rojdhan se paise kaise kamaye ye video jarur dekhiye

apko isme se konsa tarika pasand aaya hai muze comment karke jarur bataye aur aise hi naye post ki jankari sabse pahle pane ke liye mere is blog ko subscribe jarur kijiye.subscribe karne ke liye niche red color ka bell icone hai use click kijiye.to chaliye milte hai next post me.

Saturday, December 1, 2018

Digital marketing kya hai? Online marketing kya hai?

Digital marketing kya hai?:-dosto agar apko digital marketing kya hai ye nahi pata hai to aaj mai is artical me digital marketing kya hai ye bataunga.ye artical likhne ka mera mukhy uddesh mere blog ke upbhogtao ko digital marketing ki jankari hindi me mil sakhe.is artical ko padhne ke bad aap janenge ki :






  • Digital marketing kya hai?
  • Sabhi log achanak online kyo ja rahe hai?
  • Digital marketing se kya labh hota hai?
  • Digital marketin aakhir kin any vishayo se milkar bani hai?
  • Digital marketing kis prakar se vikasit hui?
  • Search engine optimization kya hai?
  • Pe par click marketing ka kya arth hai?
  • Social media marketing kya hoti hai?
  • Digital marketing ka mulyakan kaise kiya jata hai?

Digital marketing kya hai?

Digital marketing 2 muky shabdo se bana hai

Digital Or Marketing .... sabse pahle ham in shabdo kamatlab kya hai ye dekhte hai.


Digital kya hai?

yaha par digital ka abhipray sidha electronic or camputer se hai aur muky roop se internet se hai.jo ek electronic network hai,jis network ka hissa puri duuniya ka har wo vyakti hai jo kisi bhi digital upakarno dvara internet ka upyog karta hai.

Marketing kya hai?


marketing ka shabdik arth hai vipnan, kisi bhi business ya service ko sabse pahle uske utpadak hi jante hai,uske bad wo log jante jo us utpadak se jude huye hai,or janane wale logo ka dayra kafi simit hota hai.upbhogta ko jabtak us utpad ya servic ke bare me suchana na mile tab tak unhe pata bhi nahi chalega ki koi aisi utpad ya servic bhi bajar me upalabdh hai.

Apne vyavasay ya sevaoko internet (online) ke madhyam se apne grahko ke saamakshy prastut karne ki prakriya ko digital marketing kahte hai.is prakriya ko kai khando me vibhajit kiya ja sakta hai.


  1. Apne vyavasay ya sevao ke saransh ko ek vigyapan me sanjona
  2. Apne vigyapan ko apni website ya kisi any online samuday,vargikrut.ityadi website me prakashit karna.
  3. prakashit vigyapan ya lekh ko lakshit darshako ya upbhoktao tak pahuchana.
internet marketing ke madhyam se apka vigyapan jitne adhik se adhik logo tak pahuchta hai apki safalta ke chanchess utne hi badhte hai.

Sabhi Log Achanak Online Kyo Ja Rahe Hai?

  • Naye utpado,sevao aur sthano ki jankari hetu
  • Apne prashno ke uttar hetu
  • Kisi prakar ki sahayyata hetu
  • Vyavasay ke naye avsaro hetu
  • Online vyapar hetu
  • Apni sanstha ke liye karmchariyo ko niyukt karne hetu
  • Online bill ka bhugtan karne hetu
Iske alava any kahi karan hai jinki vajah se log apne adhiktar kary online hi kar lee hai.aisa karne se unke samay aur paise dono ki bachat hoti hai.chote vyavasayo ke liye logo tak pahuchana aasan hota hai.jis prakar log any website tak pahuchate hai usi prakar apki website tak bhi pahuchate hai.

Digital marketing se kya labh hota hai?

paramparik marketing ki tulna me digital marketing aage ki karno se upyogi hai.


  • Kifayati hota hai 
  • Iska vishleshan kiya ja sakta hai
  • Niyatran upbhogtao ke hath me rahta hai
  • Adhik suvidha janak hai
  • Adhik santushti pradhan karta hai
  • Brond ki nishtha ko badhata hai
  • Bikri ki prakriya ko tej karta hai3
  • Bikri ki samast kharcho ko kam karta hai
  • Brond ki sashiktikaran me sahayyak hota hai
  • lakshit parinam milte hai

Digital marketing kin mul tatv se milke bana hai?

Aage di gai vishayo ko Digital Marketing ki aadhar shila mana gaya hai.

  • Website ke prushto ke sath upbhoktao ka anubhav
  • SEO (search engine optimization
  • Pe par click vigyapan
  • vyavasay ke liye social media prabandhan
  • Lekho ke dvara upbhogtao tak apne vyavasay or apni sevao ki jankari pahuchana
  • internet pe banner dvara vigyapan karna
  • Apne brond ki chavi ka internet pe prachar or prasar


Digital marketing kis prakar se vikasit hui?

Digital marketing ki jarurat 1999 - 2000 me hui,jab kahi logo ki website online ho chuki thi.logo dvara banai gai website ko unke nirmata ya unke sampark me rahne wale log hi jante the.kisi bhi website ke malik ke liye uski website tab tak kisi kam me nahi aati jabtak lakshit grahako tak wo website nahi pahuch jati hai.apni website ko any logo tak pahachane ke liye logo ne :

  • Online vigyapan ka saharaa liya
  • any prasidh website par apni website ko link kiya
  • ya kisi se chat karke apni website ko promot kiya
  • Email ke madhyam se website ki link logo ko bhejna shuru kiya
yah digital marketing shurvat thi

SEO (search engine optemization) kya hai?


Krupaya uppar di gai link par click kare maine seo kya hai ye vistar se samzaya hai.



Sunday, November 11, 2018

Youtube se paise kaise kamaye hindi jankari

Youtube se paise kaise kamaye hindi jankari :- duniyabhar me online video dekhne ke liye youtube ka use sabse jada kiya gaya hai.youtube par roj lakho video upload kiye jate hai.aur rojana 1 arab se bhi jada videos dekhe jate hai.lekin kya aapne kabhi socha hai ki aap video dekhne ke sath sath yotube se paise bhi kama sakte hai.

   ji ha dosto aap youtube se paise kama sakt hai,agar aapko abhi tak nahi pata ki youtube paise bhi kamaye ja sakte hai to ab samay aa gaya hai ye janane ka ki youtube se paise kaise kamaye jate hai.youtube  se hajaro log ghar baithe paise kamate hai aur har koi kama sakta hai.


  ye sabhi log apne apne youtube channel par video banakar upload karte hai aur fir us video se inhe income hoti hai.video kaise banate hai aur kab un videos se income hoti hai,iski puri jankari aage is post me mil jayegi.

  Agar aapako bhi youtube se paise kamane mein intairaist hai aur aap bhi janana chaahte hai ki youtube  se paise kaise kamate hai to aap is post ko detail se padhe aur bataye gaye points ko follow kare. main aapako puri detail ki step by step jankari dunga taki aap bhi youtube ki help se online paise kama sake.
make money,online tips
Make Money

youtube par video banakar upload karne ke liye aapke paas in chijon ka hona jaruri hai :-

1) Youtube Channel :-video upload karne ke liye aapke paas sabse pahle ek youtube channel hona jaruri hai. aap apna video banakr is channel par upload karenge. youtube channel banane ke liye aapko apne gmail account ki jarurat padegi kyoki youtube bhi google ka product hai isliye aap apne gmail account se youtube me log in karne ke baad apna channel bana sakte hai.


2) Computer/Mobile :- agar aap bina kisi problaim ke apna kaam karna chahte hai to aapke paas apna khud ka ek computer hona jaruri hai. video upload karne ke liye aap android mobile ka bhi use kar sakte hai lekin aapko mobile me thodi dikkat ho sakti hai.lekin aap mobile se karna chahte ho to mobile se bhi kar sakte hai.

3) Internet :- apna video channel par apload karne ke liye aapko first internet ki jarurat padhegi. sabhi youtube video high quality ke hote hai, aur high quality ke video ki size bahut jyada hoti hai. aise me agar aap normal internet speed se apna video upload karenge to aapko ek video upload karne me hi poora din lag jayega. isliye behtar hoga ki aap video upload karne ke liye high speed internet ka use kare.


4) Video Camera :- kisi bhi video ko shoot karne ke liye aapko ek video camere ki bhi jarurat padegi. video camera nahi hai to aap high mega pixel ke smart phone se bhi video shoot kar sakte hai. bas dhyan rahe ki aapka video high quality mein shoot hona chahiye.


 kis Topic par video banaye ?


ab sabse bada sawal ye hai ki aap kis topic par aur kaise video bana sakte hai. iske liye aap in topics par apne video banakar upload kar sakte hai.

1) Education

2) Yoga


3) Coocking


4) Comedy


5) Gaming


6) Technology


7) How to tutorial 


8) Song


9) Dance


10 Buety Tips


ye kuch common aur popular topics hai jinpar aap apne videos banakar upload kar sakte hai. aur agar aapke paas koi aur interesting topic hai jis par aapko lagta hai ki aap acche video bana sakate hai to phir aap apane intairaist ke topich par videos banakar youtube se paise kama sakte hai.


yaha par aapko bas ek baat ka dhyan rakhna hai ki aap jis topic par video bana rahe hai sirp usi topic par videos banaye. agar aap ek sath sabhi tarah ke video apne channel par upload karenge to aapko jyaada views nahi mil payenge.

iske sath hi aapko aisa topic select  karna hai jis par visitors ki sankhya jyada ho matlab us topic ke video dekhne walo  ki sankhya jyada ho. agar aapne kam popular topic par apne video banaye to aapko kam visitor milenge aur aapke video par kam views milenge, isase aapki earning bhi kam hogi.


 Youtube se earning kaise hoti hai ?

aapke man me bhi yah sawal hoga ki aakhir youtube se earning kaise hoti hai. to dosto youtube se earning us par show hone wale ads se hoti hai.



jab bhi koi visitor hamara video dekhta hai to video ke starting me aur side mee ek ad bhi show hota hai. aur jab bhi wo visitor us ad par click karta hai to hame us click ke paise milte hai.

Ad kaun show karta hai – jyadatar ye ads google adsense ke hote hai. youtube google ka hi product hai aur google online advertisemaint ka sabse bada king hai. aise mein google khud ke product yani youtube par bhi ad show karta hai. aur channel owner ko bhi online paise kamane ka mauka deta hai


ad se kitni kamai hoti hai – ye kabhi bhi fix nahi hoti hai. jab bhi koi visitor ad par click karta hai to hame us ek click ke paise milte hai. ek click par $0.1 se lekar $1.00 ya isase bhi jyada ki kamai ho sakti hai. india me normally ek ad click par $0.2 – $0.20 milte hai. aur agar visitor us se hai aur wo ad par click karta hai to ek click par average income $0.50 se $2.0 tak ho sakti hai.


iske alava aap kisi dusre ad network se bhi paise kama sakte hai. iske liye aapko us ad network ki affiliate link ko apne video me add karna hoga.



lekin google eadsense sabhi ke liye youtube se paise kamane ka best tarika hai, kyoki adsense viewer ke interest ke hisab se ad show karta hai. jisase ad par jyada click milte hai aur jyada income hoti hai. jabki affiliate link viewer ke interest se bilkul alag ho sakti hai aur us par aapko kam click milenge.

Youtube se paise kaise kamaye hindi jankari

ab youtube se paise kamane ke liye apako step by step ye tareeke follow karne honge. uske bad aap youtube se paise kamana start kar denge.

Step 1 :-
create channel sabse pahle youtube me apne gmail account se log in kare aur apna channel banaye. apne channel ka nam apne topic se related aur unique rakhe taki logo ko naam yaad rahe.

create  videos – ab apne topic par acche acche vidros banaye jo logo ko pasand aaye. video ki length 5 minute se lekar 10 minute ke bich rakhe. aapka video unique aur high quality  ka hona chahiye. aap kisi bhi video ko copy na kare. iske alava video ka sound bhi aapka khud ka hona chahiye kisi aur ka copy na kare. agar aap kisi aur video ko copy karte hai ya phir sound copy karte hai to aapka channel suspaind ho sakta  hai.

upload video – ab apne video ko channel par upload kar de. video ke sath me uska pura description aur tags bhi likhe taki aapka video youtube me acchi ranking kare aur us par jyada views mile.

Step 2 :-
video upload karne ke baad use monetize karna hota hai. video monetize karne ke bad aapke video par ads show hone lagenge. lekin abhi aapko un ads se koi income nahi hogi. ads se earning start karne ke liye aapko apna youtube channel google adsense se connect karna hoga.

Step 3 :-
apne videos par monetize enable karne ke bad aapko ab apna channel adsense se connect karna hoga. jaise hi aap adsense se apna channel connect karenge aap youtube se paise kamana start kar denge. aapki kamaye gaye paise adsense ke madhyam se hi aapke bank account me transfer ho jayenge.
Youtube se paise kaise kamaye hindi jankari   
       

Video se paise kaise kamate hai?


Apne channel par video dalne aur adsense se apna channel  jodne ke bad aapke video ke bottom aur side me ads show honge. aur jab bhi koi visitor is ad par click karega to youtube se paise milna start ho jayenge.

jaisa ki maine pahle bataya india me kai log youtube se lakho rupaye kama rahe hai aur aap bhi kama sakte hai. lekin iske liye aapko puri planing karni padegi aur apne channel par best videos upload karna padenge. taki aapka channel popular ho jaye aur daily lakho views milne lage. iske bad aap bhi youtube se paise kama sakte hai wo bhi lakho me.

youtube channel me aap apne topic par jitne chahe utne video upload kar sakte hai. youtube se jyada paise kamane ke liye yah jaruri hai ki aap apne channel par kam se kam 100 video upload kare. taki jyada se jyada log aapke videos ko dekhe aur jyada views mile.

aapke channel par jitne jyada videos view honge aapko utni jyada income hogi. apne views aur traffic badhane ke liye aapko apne channel par subscribers badhane honge. iske liye aap ye tarike apna sakate hai.

1) apna facebook fan page banakar us par apne latest videos ki link share kare. aapke facebook par jitne jyada fans honge aapko utna jyada phayda milega.

2) aap ek chota blog ya site bana sakte hai. us par aap apne video se railated short post likhe aur sath me apna video link bhi add kar de. phir jab bhi koi vijitar aapke blog par aayega to wo aapke video bhi jarur dekhega aur aapke views badhane lagenge.

ab aap jan gaye hai ki youtube se paise kaise kamaye jate hai. to banaiye apna youtube channel aur paise kamaiye. agar aapka koi sawal hai to comment karke jarur puche.aur is post ko share karke mere youtube channel ko subscribe bhi jarur kijiye side me subscribe ka button hai.to chaliye dosto milte hai naye post me