Saturday, December 1, 2018

Digital marketing kya hai? Online marketing kya hai?

Digital marketing kya hai?:-dosto agar apko digital marketing kya hai ye nahi pata hai to aaj mai is artical me digital marketing kya hai ye bataunga.ye artical likhne ka mera mukhy uddesh mere blog ke upbhogtao ko digital marketing ki jankari hindi me mil sakhe.is artical ko padhne ke bad aap janenge ki :






  • Digital marketing kya hai?
  • Sabhi log achanak online kyo ja rahe hai?
  • Digital marketing se kya labh hota hai?
  • Digital marketin aakhir kin any vishayo se milkar bani hai?
  • Digital marketing kis prakar se vikasit hui?
  • Search engine optimization kya hai?
  • Pe par click marketing ka kya arth hai?
  • Social media marketing kya hoti hai?
  • Digital marketing ka mulyakan kaise kiya jata hai?

Digital marketing kya hai?

Digital marketing 2 muky shabdo se bana hai

Digital Or Marketing .... sabse pahle ham in shabdo kamatlab kya hai ye dekhte hai.


Digital kya hai?

yaha par digital ka abhipray sidha electronic or camputer se hai aur muky roop se internet se hai.jo ek electronic network hai,jis network ka hissa puri duuniya ka har wo vyakti hai jo kisi bhi digital upakarno dvara internet ka upyog karta hai.

Marketing kya hai?


marketing ka shabdik arth hai vipnan, kisi bhi business ya service ko sabse pahle uske utpadak hi jante hai,uske bad wo log jante jo us utpadak se jude huye hai,or janane wale logo ka dayra kafi simit hota hai.upbhogta ko jabtak us utpad ya servic ke bare me suchana na mile tab tak unhe pata bhi nahi chalega ki koi aisi utpad ya servic bhi bajar me upalabdh hai.

Apne vyavasay ya sevaoko internet (online) ke madhyam se apne grahko ke saamakshy prastut karne ki prakriya ko digital marketing kahte hai.is prakriya ko kai khando me vibhajit kiya ja sakta hai.


  1. Apne vyavasay ya sevao ke saransh ko ek vigyapan me sanjona
  2. Apne vigyapan ko apni website ya kisi any online samuday,vargikrut.ityadi website me prakashit karna.
  3. prakashit vigyapan ya lekh ko lakshit darshako ya upbhoktao tak pahuchana.
internet marketing ke madhyam se apka vigyapan jitne adhik se adhik logo tak pahuchta hai apki safalta ke chanchess utne hi badhte hai.

Sabhi Log Achanak Online Kyo Ja Rahe Hai?

  • Naye utpado,sevao aur sthano ki jankari hetu
  • Apne prashno ke uttar hetu
  • Kisi prakar ki sahayyata hetu
  • Vyavasay ke naye avsaro hetu
  • Online vyapar hetu
  • Apni sanstha ke liye karmchariyo ko niyukt karne hetu
  • Online bill ka bhugtan karne hetu
Iske alava any kahi karan hai jinki vajah se log apne adhiktar kary online hi kar lee hai.aisa karne se unke samay aur paise dono ki bachat hoti hai.chote vyavasayo ke liye logo tak pahuchana aasan hota hai.jis prakar log any website tak pahuchate hai usi prakar apki website tak bhi pahuchate hai.

Digital marketing se kya labh hota hai?

paramparik marketing ki tulna me digital marketing aage ki karno se upyogi hai.


  • Kifayati hota hai 
  • Iska vishleshan kiya ja sakta hai
  • Niyatran upbhogtao ke hath me rahta hai
  • Adhik suvidha janak hai
  • Adhik santushti pradhan karta hai
  • Brond ki nishtha ko badhata hai
  • Bikri ki prakriya ko tej karta hai3
  • Bikri ki samast kharcho ko kam karta hai
  • Brond ki sashiktikaran me sahayyak hota hai
  • lakshit parinam milte hai

Digital marketing kin mul tatv se milke bana hai?

Aage di gai vishayo ko Digital Marketing ki aadhar shila mana gaya hai.

  • Website ke prushto ke sath upbhoktao ka anubhav
  • SEO (search engine optimization
  • Pe par click vigyapan
  • vyavasay ke liye social media prabandhan
  • Lekho ke dvara upbhogtao tak apne vyavasay or apni sevao ki jankari pahuchana
  • internet pe banner dvara vigyapan karna
  • Apne brond ki chavi ka internet pe prachar or prasar


Digital marketing kis prakar se vikasit hui?

Digital marketing ki jarurat 1999 - 2000 me hui,jab kahi logo ki website online ho chuki thi.logo dvara banai gai website ko unke nirmata ya unke sampark me rahne wale log hi jante the.kisi bhi website ke malik ke liye uski website tab tak kisi kam me nahi aati jabtak lakshit grahako tak wo website nahi pahuch jati hai.apni website ko any logo tak pahachane ke liye logo ne :

  • Online vigyapan ka saharaa liya
  • any prasidh website par apni website ko link kiya
  • ya kisi se chat karke apni website ko promot kiya
  • Email ke madhyam se website ki link logo ko bhejna shuru kiya
yah digital marketing shurvat thi

SEO (search engine optemization) kya hai?


Krupaya uppar di gai link par click kare maine seo kya hai ye vistar se samzaya hai.




EmoticonEmoticon